Kii ibaadat bhii vo jis ki jazaa koii nahin...
Yeh bhii waqt aanaa thaa ab to gosh har aawaaz hai...
Aur mere Barbaad-E-Dil mein sadaa koii nahin...
Aa ke ab tasliim kar lein tuu nahin to main sahii...
Kaun maanegaa ke ham mein bewafaa koii nahin..
Waqt ne Woh Khaak udaayi hai ke dil ke dasht se....
Qaafile guzare hain phir bhii Naqsh-E-Paa koii nahin....
Khud ko yun mahasuur kar baithaa huun apnii zaat mein....
Manzilein chaaron taraf hai raastaa koii nahin.....
Kaise raaston se chale aur kis jagah pahunche 'Faraz'
Yeh Hujuum-E-Dostaan thaa saath yeh koii nahin....!!!
0 comments:
Post a Comment