Showing posts with label urdu sms shayari. Show all posts
Showing posts with label urdu sms shayari. Show all posts

Feb 11, 2009

Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,

1 comments

Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,
jise chaho wahi apne se dur hota hai,
Dil tutkar bikharta hai is kadar jaise
koi kanch ka khilona chur-chur hota hai.

Jan 12, 2009

Phoolon Se Atchi Us Ki Khushboo

0 comments
Phoolon Se Atchi Us Ki Khushboo
Kaliyon Se Pyari Uski Muskaaan,
Sitaaron Sa Chamakta Hua Chehra Koyal Si Meethi Zabaaan,
Chaand bhi chup jaye yeh kah ke, Aaasmaan pe ab kya mera kaam,
Chandni to aaa nikli zameen se
Kaisi hai yeh qudrat ki shaan,
Fursat Se Banaya Hoga Rub Ne
Farishton Ka Nahi Yeah Kaaam,
Mittti Se Bane Hain Hum Sab
Us Main Sona Ko Milaya Hoga,
Hoooron Ne Bhi Husrat Se Dekha Hoga
Pariyon Se Sunder Yeah Insaaan,
Alfaaaz Bhi Kum Parte Hain Kahne Ko
Aisi Hai Meri Jaaaaaaaaan

Jis ki khushboo se hai phoolon ki mahak

0 comments
Jis ki khushboo se hai phoolon ki mahak
Jis ki saanson se chale thandi pawan (hawa)
Jis ki aankhon ki chamak se duniya raushan
Jis ki her baat aisi jaise shayar ki ghazal
Jis ke husn se lage chandon ko grahan
Woh koi khwab nahi, tum ho hum dum

Har Kashti-E-Manzil Sahil Hai To Kya

0 comments
Har Kashti-E-Manzil Sahil Hai To Kya
Hamari Manzil-E-Ishq To Sirf Tum Ho
Yeh Dil Dharakta Hai Har Pal To Kya
Is Dil Ki Dharkan To Sirf Tum Ho
Zindagi Dee Is Rab Ne To Kya
Is Jeene Ka MaQsad To Sirf Tum Ho
Yeh Jaan Jayegi Kisi Din To Kya
Is Dil-E-Malka To Sirf Tum Ho

Aati hai khushboo gulaab si, Mehkai jaati hai sairaab si

0 comments
Aati hai khushboo gulaab si, Mehkai jaati hai sairaab si
Achhey mausamon ki ummeed lagai, Haal-e-jaan hai azaab si
Akhiyan tarseen to kahin, Chamki hai bijli shabab si
Bhataktey kaarwaanya Majnoo, Talaash-e-Laila hai aab si
Bulandi tak pohonchney ke liye, Uraan chahiye sohraab si
Aate hain aansoon bhar bhar Ashfaq, Ab haal-e-dil hai sailaab si

Ankhon ki saza tab tak hai,

0 comments
Ankhon ki saza tab tak hai,
Jab tak didar na ho.
Dil ki saza tab tak hai,
Jab tak pyar na ho.
Ye jindagi bhi ek saja hai,
Jab tak 'AAP' jai sa pyara-pyara dost na ho

Dil meiN abb dard-e-mohabbat ke sivaa kuchh bhii nahiiN,

0 comments
Dil meiN abb dard-e-mohabbat ke sivaa kuchh bhii nahiiN,

zindagii merii ibaadat ke sivaa kuchh bhii nahiiN..

MeiN terii barah-gah-e-naaz meiN kyaa pesh karooN,

merii jholii meiN mohabbat ke sivaa kuchh bhii nahiiN..

Aye Khudaa mujhse naa le mere gunaahoN kaa hisaab,

mere paas ashq-e-nadaamat ke sivaa kuchh bhii nahiiN..

Woh to mitt kar mujh ko mil hii gayii raahat varnaa,

zindagii ranj-o-musiibat ke sivaa kuchh bhii nahiiN..!

Aanso May Na Dhondna Humey

0 comments
Aanso May Na Dhondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaenge,

Tamana Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aaenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jayega,
Chund Lamho May Daman Chot Jaega,

Aaj Waqt Hai Do Batein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jaega.

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,

Aitbar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Khushbo Ki Tarah Aapke Pas Bikhar Jaenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jaenge

Haath uthe hain magar lab pe duaa koii nahin

0 comments
Haath uthe hain magar lab pe duaa koii nahin...
Kii ibaadat bhii vo jis ki jazaa koii nahin...

Yeh bhii waqt aanaa thaa ab to gosh har aawaaz hai...
Aur mere Barbaad-E-Dil mein sadaa koii nahin...

Aa ke ab tasliim kar lein tuu nahin to main sahii...
Kaun maanegaa ke ham mein bewafaa koii nahin..

Waqt ne Woh Khaak udaayi hai ke dil ke dasht se....
Qaafile guzare hain phir bhii Naqsh-E-Paa koii nahin....

Khud ko yun mahasuur kar baithaa huun apnii zaat mein....
Manzilein chaaron taraf hai raastaa koii nahin.....

Kaise raaston se chale aur kis jagah pahunche 'Faraz'
Yeh Hujuum-E-Dostaan thaa saath yeh koii nahin....!!!

Hum Yaad tu tum ko aatey honge,

0 comments
Hum Yaad tu tum ko aatey honge,
Jab Panchi geet suntey honge,
Jat Sawan ki rut ati hogi,
Jab phool khushboo mehkatet honge,
Jab Peeley pattey girte honge,
Jab Judai ke dard statey honge,
Jab Dosti kesi se hoti hogi,
Jab Dost Bechar ke Jatey honge,
Hum Yaad tu tum ko aatey honge,

Hum Ghom Chuky Basti Bun Mein

0 comments
Hum Ghom Chuky Basti Bun Mein
Ik Aas Ki Phans Liye Mun Mein

Koi Sajan Ho Koi Piyara Ho
Jab Jivan Rat Andheri Ho
Ik Bar Kaho Tum Meri Ho

Jab Sawan Badal Chhaye Hon
Jab Phagan Phool Khilaye Hon

Jab Chanda Roop Lutata Ho
Jab Soraj Dhope Nahata Ho

Ya Sham Ne Basti Gheri Ho
Ik Bar Kaho Tum Meri Ho

Kia Jhagra Sood Khasary Ka
Ye Kaj Nahi Bunjary Ka

Sab Roopa Sona Ley Jaye
Sab Duniya Duniya Ley Jaye

Tum Aik Mujhy Behtry Ho
Ik Bar Kaho Tum Meri Ho

Mohabbat Farz Jaisi Hai Nibhana Seekh Jaoga

0 comments
Mohabbat Farz Jaisi Hai
Nibhana Seekh Jaoga

Dilon Pe Qarz Jaisi Hai
Chukana Seekh Jaoga

Labon Pe Phool Jaisi Hai
Khilana Seekh Jaoga

Nazar Main Aag Jaisi Hai
Lagana Seekh Jaoga

Tum Tak Faasla Jo Hai
Mitana Seekh Jaoga

Kabhi Jo Dil Main Aa Baithay
Zamana Bhool Jaoga

Buht hi mudat k baad kal jab

0 comments
Buht hi mudat k baad kal jab
kitab-e-maazi ko meine khola

buht se chehray nazr mei utray
buht se namoon pe dil paseja

aik aisa safha bhe usme aya
likha huwa tha jo ansuoon se

k jiska unwan "HUMSAFAR" tha
jo safha sabse hi mautabar tha

kch aur ansu phr us pe tapkay
phr us se agay mei parh na paya

kitab-e-mazi ko bandh kar k
tumhare baton mei kho gaya mei

agr tu milta to kaisa hota
Inhi khayalon mei soo gaya mei.

Buht hi mudat k baad kal jab

0 comments
Buht hi mudat k baad kal jab
kitab-e-maazi ko meine khola
buht se chehray nazr mei utray
buht se namoon pe dil paseja
aik aisa safha bhe usme aya
likha huwa tha jo ansuoon se
k jiska unwan "HUMSAFAR" tha
jo safha sabse hi mautabar tha
kch aur ansu phr us pe tapkay
phr us se agay mei parh na paya
kitab-e-mazi ko bandh kar k
tumhare baton mei kho gaya mei
agr tu milta to kaisa hota
Inhi khayalon mei soo gaya mei.

Bachpan Ki Yaadein

0 comments
Bachpan K Dukh Kitnay Achay Hotay Thay
Tab DILL Nahi Khilonay Toota Kartay Thay

Wo Khushiyan B Janay Kesi Khushiyan Thi
Titli Pakar Kar Uchla Kartay Thay

Chotay Thay Tou Maqr-O-Fraib B Chotay Thay
Dana Daal Kar Chiryan Pakra Kartay Thay

Apnay Jal Janay Ka B Ehsas Na Tha
Jaltay Shollon Ki Taraf Lapka Kartay Thay

Ab Aik Ansoo B Giray Tou Ruswaa Kar Deta Hai
Bachpan Mein Tou G Bhar K Roya Kartay Thay...

Aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,

0 comments
Aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha

Apni Aankhon K Sabhi Ashq Bahaa Kar Sona

0 comments
Apni Aankhon K Sabhi Ashq Bahaa Kar Sona
Tum Meri Yaad Ka Har Deep Buja Kar Sona

Ik Sitara B Mere Kheyal Ka Baqi Na Rahay
Chandni Shab K Nishanaat Mitaa Kar Sona.

Darr Laga Rehta Hai Neendain Hee Kahin Cheen Na Lain
Tera Har Roz Mere Khwab Mein Aa Kar Sona

Baad Mein Log Giraa Dein Tou Koi Baat Nahi
Har Taraf Piyaar Ki Diwaar Utha Kar Sona

Subho Hotay Hee Tere Shehar Se Jana Hai Muje
Aaj Ki Raat Zara Muj Ko Manaa Kar Sona

Mohabbat Jeet Hoti Hai

0 comments
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Haar Jati Hai

Kabhi Dil Sooz Lamhoon Se
Kabhi Bey-Kaar Rasmoon Se
Kabhi Takdeer Waloon Se
Kabhi Majboor Qasmoon Se

Magar Ye Haar Jati Hai

Kabhi Ye Phool Jaise Hai
Kabhi Ye Dhool Jaise Hai
Kabhi Ye Chand Jaise Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaise Hai

Kabhi Masroor Kerte Hai
Kabhi Ye Roog Dete Hai
Kisi Ka Chain Banti Hai
Kisi Ko Rool Dete Hai

Kabhi Lay Paar Jati Hai
Kabhi Ye Maar Jati Hai

Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Haar Jati Hai

Be kali be khudi be basi degaya

0 comments
Be-kali, be-khudi,be-basi degaya,
zindagi ko nayein tajorbaye ajnabi de gaya.

us ki sodagari main b insaf tha,
zindagi de gaya zindagi le gaya.

diloo jaan lay gaya roh say khanch ker,
roh ko aik nai tazgi de gaya.

ye fasle ye duriya

0 comments
ye fasle ye duriya
pareshan kiye rakhti hai hume
din bhar teri majburiya

teri wafa teri mohabbat
aur teri muskurahat
sab yaad dilati hai hume ye duriya

jagaye rakhti hai hume raat bhar
tumhari duri ka ehsaas
kis se kahe hum apni dil ki baat

tum hi ho raaz daa
tum hi yaar ho
tum hi se mohabbat hai
aur tum hi se hai gila

ye duraiya janam
kab hogi khatam
kahi beet na jaye
chahat ka mosam

Advertisement

 

Copyright 2008 All Rights Reserved XFN Friendly |